bahte pani pe ek dariya ne
bahte paanī pe ek dariyā ne
apnī lahroñ se likkhe afsāne
bādaloñ meñ sameT ke bārish
ashk dhartī ke laa.ī lauTāne
kāġhazī phuul kī mahak kā sach
ye dehātī parinda kyā jaane
jhūmī dīvāreñ kis kī aahaT pe
tulsī āñgan lagī hai mahkāne
shaam kī raah takte haiñ kab se
dhuup meñ peḌ chhatriyāñ taane
ham samajhte haiñ ek-dūje ko
tum bhī dīvāne ham bhī dīvāne
dil kī gahrā.iyāñ añdherī haiñ
is mahal kā nasīb tah-ḳhāne
raat bhar siskā bāzuoñ meñ mire
chāñd aayā thā mujh ko samjhāne
bahte pani pe ek dariya ne
apni lahron se likkhe afsane
baadalon mein sameT ke barish
ashk dharti ke lai lauTane
kaghazi phul ki mahak ka sach
ye dehati parinda kya jaane
jhumi diwaren kis ki aahaT pe
tulsi aangan lagi hai mahkane
sham ki rah takte hain kab se
dhup mein peD chhatriyan tane
hum samajhte hain ek-duje ko
tum bhi diwane hum bhi diwane
dil ki gahraiyan andheri hain
is mahal ka nasib tah-KHane
raat bhar siska bazuon mein mere
chand aaya tha mujh ko samjhane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.