bahte rahna ek bahana hota hai
bahte rahnā ek bahāna hotā hai
dariyā ko sāgar tak jaanā hotā hai
'umr muqarrar hotī hai har rishte kī
majbūran bhī haath chhuḌānā hotā hai
duniyā kī saarī achchhī tasvīroñ meñ
ik chehra jānā-pahchānā hotā hai
kachche rangoñ vaalī titlī kyā jaane
bārish meñ bhī saath nibhānā hotā hai
sab se gahrī hotī hai lafzoñ kī choT
lahje kā har vaar bachānā hotā hai
bahte rahna ek bahana hota hai
dariya ko sagar tak jaana hota hai
'umr muqarrar hoti hai har rishte ki
majburan bhi hath chhuDana hota hai
duniya ki sari achchhi taswiron mein
ek chehra jaana-pahchana hota hai
kachche rangon wali titli kya jaane
barish mein bhi sath nibhana hota hai
sab se gahri hoti hai lafzon ki choT
lahje ka har war bachana hota hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 91)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.