bahut aasan hai duniya mein rahna
bahut āsān hai duniyā meñ rahnā
ye jumla phir kabhī mujh se na kahnā
faqat apne hī ġham meñ ghul rahe ho
kabhī sīkho kisī kā dard sahnā
kisī din lā.ūñgā sone ke kangan
magar filhāl ye phūloñ kā gahnā
baḌā samjhāyā aur dhamkāyā sab ne
magar dariyā kī fitrat meñ hai bahnā
badan ko Dhāñptā phirtā hai mūrakh
zabāñ ko bhī kabhī poshāk pahnā
bahut aasan hai duniya mein rahna
ye jumla phir kabhi mujh se na kahna
faqat apne hi gham mein ghul rahe ho
kabhi sikho kisi ka dard sahna
kisi din launga sone ke kangan
magar filhaal ye phulon ka gahna
baDa samjhaya aur dhamkaya sab ne
magar dariya ki fitrat mein hai bahna
badan ko Dhanpta phirta hai murakh
zaban ko bhi kabhi poshak pahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.