bahut āzād hotā jā rahā hai
ye dil barbād hotā jā rahā hai
sabhī āmoḳhtoñ ko bhuul jā.ūñ
sabaq ye yaad hotā jā rahā hai
ḳhudā ke naam par duniyā meñ kyā kyā
sitam-ījād hotā jā rahā hai
mujhe lagtā hai ab merā hī qaidī
mirā sayyād hotā jā rahā hai
jo sach pūchho ġhazal kā fan to 'pinhāñ'
ḳhud apnī daad hotā jā rahā hai
bahut aazad hota ja raha hai
ye dil barbaad hota ja raha hai
sabhi aamoKHton ko bhul jaun
sabaq ye yaad hota ja raha hai
KHuda ke nam par duniya mein kya kya
sitam-ijad hota ja raha hai
mujhe lagta hai ab mera hi qaidi
mera sayyaad hota ja raha hai
jo sach puchho ghazal ka fan to 'pinhan'
KHud apni dad hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.