bahut ajib hai tamir koi ghar karna
bahut ajiib hai ta.amīr koī ghar karnā
ram-e-ġhazāl ko mahdūd-e-bām-o-dar karnā
numū kā zor thā ḳhushbū fazā meñ lahrā.ī
yahī to hai qafas-e-rañg meñ basar karnā
qarār maut hai manzil-pazīr qadmoñ kī
musāfiroñ ko phir āmāda-e-safar karnā
zamāna yaad se terī lipaT ke ro.egā
mushāhida tū ai uftāda-e-nazar karnā
maiñ jis se kaT ke judā ho gayā tanāvar thā
hai us ke naam raqam sāya-e-shajar karnā
ba.iid kyā hai ki jugnū se chāñd Dhal jaa.e
zarā sī aañch ko is tarah sho.ala-var karnā
kabhī latīf badan par shikan bhī phabtī hai
kabhī ye pairahan ālūda lams-bhar karnā
bahut ajib hai tamir koi ghar karna
ram-e-ghazal ko mahdud-e-baam-o-dar karna
numu ka zor tha KHushbu faza mein lahrai
yahi to hai qafas-e-rang mein basar karna
qarar maut hai manzil-pazir qadmon ki
musafiron ko phir aamada-e-safar karna
zamana yaad se teri lipaT ke roega
mushahida tu ai uftada-e-nazar karna
main jis se kaT ke juda ho gaya tanawar tha
hai us ke nam raqam saya-e-shajar karna
baid kya hai ki jugnu se chand Dhal jae
zara si aanch ko is tarah shoala-war karna
kabhi latif badan par shikan bhi phabti hai
kabhi ye pairahan aaluda lams-bhar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.