bahut barbaad hota ja raha hai
bahut barbād hotā jā rahā hai
ye dil baġhdād hotā jā rahā hai
use jitnā bhulānā chāhtā huuñ
vo utnā yaad hotā jā rahā hai
fasīl-e-jāñ mirī mismār kar ke
mirī buniyād hotā jā rahā hai
ye kaisā vaqt hai merā hī beTā
mirā ustād hotā jā rahā hai
qarīb ab aa rahī hai merī manzil
safar uftād hotā jā rahā hai
tumhārī qaid meñ hai ruuh merī
badan āzād hotā jā rahā hai
mirī tasḳhīr hotī jā rahī hai
suḳhan ījād hotā jā rahā hai
ġhazal shīrīñ huī jaatī hai merī
hunar farhād hotā jā rahā hai
tumhārī yaad dil meñ bas rahī hai
khañDar ābād hotā jā rahā hai
bahut barbaad hota ja raha hai
ye dil baghdad hota ja raha hai
use jitna bhulana chahta hun
wo utna yaad hota ja raha hai
fasil-e-jaan meri mismar kar ke
meri buniyaad hota ja raha hai
ye kaisa waqt hai mera hi beTa
mera ustad hota ja raha hai
qarib ab aa rahi hai meri manzil
safar uftad hota ja raha hai
tumhaari qaid mein hai ruh meri
badan aazad hota ja raha hai
meri tasKHir hoti ja rahi hai
suKHan ijad hota ja raha hai
ghazal shirin hui jati hai meri
hunar farhad hota ja raha hai
tumhaari yaad dil mein bas rahi hai
khanDar aabaad hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.