bahut bigDa hua hai dosto ghar ka nizam apna
bahut bigDa hua hai dosto ghar ka nizam apna
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
bahut bigḌā huā hai dosto ghar kā nizām apnā
ye bas uupar hī uupar dekh lo sab Tiim Taam apnā
nahīñ detā na de ai sāqi-e-mahfil tū jaam apnā
yahāñ biiḌī ke adhdhoñ se bhī chal jaatā hai kaam apnā
nikalvāyā mujhe mahfil se dhakke de ke zālim ne
nazar aaya hai barsoñ baad ye aalī maqām apnā
ḳhudā ke vāste logo bachā lo apne bhārat ko
hamāre desh-bhaktoñ se kaho samjheñ maqām apnā
abhī kaḌkī meñ haiñ ahbāb katrā kar nikalte haiñ
jo din palTe to phir sab hī kareñge ehtirām apnā
tavāzo karte karte ek din vo ḳhud-kushī kar le
kisī ke ghar pe itne din na farmāo qiyām apnā
na chaa.e aa.ī na paan aa.e na vo aa.e yahāñ 'dilkash'
yahī ādāb-e-mahfil haiñ to mahfil ko salām apnā
bahut bigDa hua hai dosto ghar ka nizam apna
ye bas upar hi upar dekh lo sab Tim Tam apna
nahin deta na de ai saqi-e-mahfil tu jam apna
yahan biDi ke adhdhon se bhi chal jata hai kaam apna
nikalwaya mujhe mahfil se dhakke de ke zalim ne
nazar aaya hai barson baad ye aali maqam apna
KHuda ke waste logo bacha lo apne bhaarat ko
hamare desh-bhakton se kaho samjhen maqam apna
abhi kaDki mein hain ahbab katra kar nikalte hain
jo din palTe to phir sab hi karenge ehtiram apna
tawazo karte karte ek din wo KHud-kushi kar le
kisi ke ghar pe itne din na farmao qiyam apna
na chae aai na pan aae na wo aae yahan 'dilkash'
yahi aadab-e-mahfil hain to mahfil ko salam apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.