bahut din ho gae dariya ki jaanib aa nahin pae
bahut din ho ga.e dariyā kī jānib aa nahīñ paa.e
parindo ḳhair se to ho ki par phailā nahīñ paa.e
ga.ī guzrī sahar shāmeñ magar vīrāna-e-jāñ meñ
khile kuchh phuul aise jo kabhī murjhā nahīñ paa.e
janāb ab zer-e-āb ārām se dekheñ achhūte ḳhvāb
jo in maTmailī āñkhoñ se to haq manvā nahīñ paa.e
barastī hai kabhī aag aur kabhī paanī umaDtā hai
magar ye haath haiñ jo āsmāñ tak jā nahīñ paa.e
ab is dil hī ko lo ārām kyoñ is ko nahīñ aatā
yahī to baat hai jo ham tumheñ samjhā nahīñ paa.e
bahut din ho gae dariya ki jaanib aa nahin pae
parindo KHair se to ho ki par phaila nahin pae
gai guzri sahar shamen magar virana-e-jaan mein
khile kuchh phul aise jo kabhi murjha nahin pae
janab ab zer-e-ab aaram se dekhen achhute KHwab
jo in maTmaili aankhon se to haq manwa nahin pae
barasti hai kabhi aag aur kabhi pani umaDta hai
magar ye hath hain jo aasman tak ja nahin pae
ab is dil hi ko lo aaram kyon is ko nahin aata
yahi to baat hai jo hum tumhein samjha nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.