bahut din se batana chahta hun
bahut din se batānā chāhtā huuñ
tumheñ maiñ ġhā.ebāna chāhtā huuñ
ba-zāhir ruuTh jaanā chāhtā huuñ
muqaddar āzmānā chāhtā huuñ
tumheñ fursat nahīñ hai lamha bhar kī
idhar maiñ ik zamāna chāhtā huuñ
mujhe bhī prem hai urdu se yaaro
ġhazal se āb-o-dāna chāhtā huuñ
mujhe Dar hai 'na.īm' is baar maiñ bhī
ta.alluq tājirāna chāhtā huuñ
bahut din se batana chahta hun
tumhein main ghaebana chahta hun
ba-zahir ruTh jaana chahta hun
muqaddar aazmana chahta hun
tumhein fursat nahin hai lamha bhar ki
idhar main ek zamana chahta hun
mujhe bhi prem hai urdu se yaro
ghazal se aab-o-dana chahta hun
mujhe Dar hai 'naim' is bar main bhi
talluq tajirana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.