bahut dinon se hamara KHwabon se koi bhi rabta nahin hai
bahut dinoñ se hamārā ḳhvāboñ se koī bhī rābta nahīñ hai
kuchh aise kār-e-jahāñ meñ kho.e ki apnā bhī kuchh pata nahīñ hai
ye nā-umīdī kī intihā hai ki āgahī kī hai koī manzil
ye dil ko kyā āriza huā hai ise kisī se gila nahīñ hai
hamesha sach bolne kī aadat hai kyā kareñ bolte raheñge
qadam qadam par hai āzmā.ish ki sahl ye marhala nahīñ hai
ham un kī har baat maan lete to zindagī chain se guzartī
bas izzat-e-nafs roktī hai anā kā ye mas.ala nahīñ hai
yūñhī bhaTakte phireñge kab tak ḳhud apne andar talāsh kar leñ
jahāñ mukammal sukūñ mayassar ho aisī koī jagah nahīñ hai
bas ik pareshāñ hujūm ke saath ham bhī shāmil haiñ chal rahe haiñ
na koī naqsh-e-qadam salāmat kahīñ koī rāsta nahīñ hai
ye shaam itnī udaas kyoñ hai kahīñ koī hādisa huā hai
ye ḳhuuñ kī surḳhī shafaq ke rangoñ meñ ghul ga.ī be-vajah nahīñ hai
sitāra-e-sub.h DhūñDte haiñ ġhubār-ālūda mausamoñ meñ
nazar se ojhal to ho gayā hai magar abhī gum-shuda nahīñ hai
bahut dinon se hamara KHwabon se koi bhi rabta nahin hai
kuchh aise kar-e-jahan mein khoe ki apna bhi kuchh pata nahin hai
ye na-umidi ki intiha hai ki aagahi ki hai koi manzil
ye dil ko kya aariza hua hai ise kisi se gila nahin hai
hamesha sach bolne ki aadat hai kya karen bolte rahenge
qadam qadam par hai aazmaish ki sahl ye marhala nahin hai
hum un ki har baat man lete to zindagi chain se guzarti
bas izzat-e-nafs rokti hai ana ka ye masala nahin hai
yunhi bhaTakte phirenge kab tak KHud apne andar talash kar len
jahan mukammal sukun mayassar ho aisi koi jagah nahin hai
bas ek pareshan hujum ke sath hum bhi shamil hain chal rahe hain
na koi naqsh-e-qadam salamat kahin koi rasta nahin hai
ye sham itni udas kyon hai kahin koi hadisa hua hai
ye KHun ki surKHi shafaq ke rangon mein ghul gai be-wajah nahin hai
sitara-e-subh DhunDte hain ghubar-aluda mausamon mein
nazar se ojhal to ho gaya hai magar abhi gum-shuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.