bahut dinon se khula dar talash karta hun
bahut dinoñ se khulā dar talāsh kartā huuñ
maiñ apne ghar meñ khaḌā ghar talāsh kartā huuñ
palak pe qatra-e-shabnam uThā.e sadiyoñ se
tire karam kā samundar talāsh kartā huuñ
nazar meñ jiit kī tasdīq kā savāl liye
galī galī meñ sikandar talāsh kartā huuñ
badan badan se ḳhulūs-o-vafā kī ḳhushbūeñ
maiñ sūñgh kar nahīñ chhūkar talāsh kartā huuñ
laboñ kī pyaas bujhāne ke vāste saaqī
kisī buzurg kā sāġhar talāsh kartā huuñ
javāharāt ke ik Dher par khaḌā ho kar
na.ī pasand kā patthar talāsh kartā huuñ
tū āñdhiyoñ ke tashaddud kī baat kartā hai
maiñ apne TuuTe hue par talāsh kartā huuñ
bahut dinon se khula dar talash karta hun
main apne ghar mein khaDa ghar talash karta hun
palak pe qatra-e-shabnam uThae sadiyon se
tere karam ka samundar talash karta hun
nazar mein jit ki tasdiq ka sawal liye
gali gali mein sikandar talash karta hun
badan badan se KHulus-o-wafa ki KHushbuen
main sungh kar nahin chhukar talash karta hun
labon ki pyas bujhane ke waste saqi
kisi buzurg ka saghar talash karta hun
jawaharaat ke ek Dher par khaDa ho kar
nai pasand ka patthar talash karta hun
tu aandhiyon ke tashaddud ki baat karta hai
main apne TuTe hue par talash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.