bahut dinon se nazar mein hai yar ki surat
bahut dinoñ se nazar meñ hai yaar kī sūrat
ġham-e-zamāna se lekin farār kī sūrat
nazar to aa.e kahīñ se bahār kī sūrat
nikāliye to koī e'tibār kī sūrat
khulā huā hai dar-e-mai-kadā diloñ kī tarah
mahak rahī hai fazā zulf-e-yār kī sūrat
hazār marhala-e-zīst sāmne aa.e
badal badal ke tamanna-e-yār kī sūrat
bahut dinon se nazar mein hai yar ki surat
gham-e-zamana se lekin farar ki surat
nazar to aae kahin se bahaar ki surat
nikaliye to koi e'tibar ki surat
khula hua hai dar-e-mai-kada dilon ki tarah
mahak rahi hai faza zulf-e-yar ki surat
hazar marhala-e-zist samne aae
badal badal ke tamanna-e-yar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.