bahut dubli bahut patli hayati hoti jati hai
bahut dublī bahut patlī hayātī hotī jaatī hai
chapātī rafta rafta kāġhzātī hotī jaatī hai
hamāre gaal bhī pichke hue amrūd jaise haiñ
aur un kī naak hai ki nāshpātī hotī jaatī hai
milī hai hukmarānī des kī jab pārsāoñ ko
to apnī qaum kyoñ phir vārdātī hotī jaatī hai
bajaT us kā ḳhasāre kā aur apnā bhī ḳhasāre meñ
hukūmat bhī hamārī ham-jamātī hotī jaatī hai
vo london meñ makīñ haiñ aur maiñ huuñ chechūñ kī malyāñ meñ
hamārī dostī qalmī dvātī hotī jaatī hai
hamāre darmiyāñ baiThe hue haiñ afsar-e-a.alā
tabhī to aaj apnī chauḌī chhātī hotī jaatī hai
bahut dubli bahut patli hayati hoti jati hai
chapati rafta rafta kaghzati hoti jati hai
hamare gal bhi pichke hue amrud jaise hain
aur un ki nak hai ki nashpati hoti jati hai
mili hai hukmarani des ki jab parsaon ko
to apni qaum kyon phir wardati hoti jati hai
bajaT us ka KHasare ka aur apna bhi KHasare mein
hukumat bhi hamari ham-jamati hoti jati hai
wo london mein makin hain aur main hun chechun ki malyan mein
hamari dosti qalmi dwati hoti jati hai
hamare darmiyan baiThe hue hain afsar-e-ala
tabhi to aaj apni chauDi chhati hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.