bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna
bahut dushvār hai ab aa.ine se guftugū karnā
sazā se kam nahīñ hai ḳhud ko apne rū-ba-rū karnā
'ajab sīmābiyat hai in dinoñ apnī tabī'at meñ
ki jis ne baat kī hañs kar usī kī aarzū karnā
ibādat ke liye tat.hīr-e-dil kī bhī zarūrat hai
vuzū ke baa'd phir ashk-e-nadāmat se vuzū karnā
ye vasf-e-ḳhās hai kuchh aap se bā-vasf logoñ kā
hameñ aatā nahīñ hai aap ko lamhe meñ tū karnā
tirī fitrat meñ yuuñ musbat ishāre DhūñDtā huuñ maiñ
kisī sahrā ko jaise chāhtā huuñ aabjū karnā
bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna
saza se kam nahin hai KHud ko apne ru-ba-ru karna
'ajab simabiyat hai in dinon apni tabi'at mein
ki jis ne baat ki hans kar usi ki aarzu karna
ibaadat ke liye tathir-e-dil ki bhi zarurat hai
wuzu ke ba'd phir ashk-e-nadamat se wuzu karna
ye wasf-e-KHas hai kuchh aap se ba-wasf logon ka
hamein aata nahin hai aap ko lamhe mein tu karna
teri fitrat mein yun musbat ishaare DhunDta hun main
kisi sahra ko jaise chahta hun aabju karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.