bahut dushwar hai rasta hamara
bahut dushvār hai rasta hamārā
nahīñ kar pāoge pīchhā hamārā
rulā degā use hañsnā hamārā
use mā'lūm hai qissa hamārā
tasallī de rahe haiñ chārāgar ko
samajh lo haal hai kaisā hamārā
tumhārī copy ne ḳhālī karāyā
kitāboñ se bharā basta hamārā
bichhaḌne vaalā muḌ kar dekh letā
to ham ko ghar to mil jaatā hamārā
ḳhudā hāfiz agar tum kah ke jaate
to kuchh din kaam chal jaatā hamārā
buTTon bas shirt meñ ik Taañk dete
to sab ġhussa utar jaatā hamārā
chalo sājhe meñ bazm-e-dil sajā.eñ
sajāvaT aap kī ḳharcha hamārā
bahut dushwar hai rasta hamara
nahin kar paoge pichha hamara
rula dega use hansna hamara
use ma'lum hai qissa hamara
tasalli de rahe hain chaaragar ko
samajh lo haal hai kaisa hamara
tumhaari copy ne KHali karaya
kitabon se bhara basta hamara
bichhaDne wala muD kar dekh leta
to hum ko ghar to mil jata hamara
KHuda hafiz agar tum kah ke jate
to kuchh din kaam chal jata hamara
buTTon bas shirt mein ek Tank dete
to sab ghussa utar jata hamara
chalo sajhe mein bazm-e-dil sajaen
sajawaT aap ki KHarcha hamara
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 39)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.