bahut dushwar hai taskin-e-zauq-e-rang-o-bu karna
bahut dushvār hai taskīn-e-zauq-e-rañg-o-bū karnā
jo chun sakte ho kāñTe to guloñ kī aarzū karnā
jihād-e-zindagī meñ ho jo ḳhud ko surḳh-rū karnā
jigar ko ḳhaak karnā aur kabhī dil ko lahū karnā
kisī ko dekhne kī ḳhvāb meñ jab aarzū karnā
nazar ko ashk-e-ḳhūn-e-dil se pahle bā-vazū karnā
ḳhirad kā dījiye naam us ko yā dīvāngī kahiye
garebāñ chaak karnā aur dāman ko rafū karnā
baġhair-e-ḳhū-e-taslīm-o-razā jiinā kuchh aisā hai
ki shuġhl-e-bāda-noshī jaise be-jām-o-subū karnā
lage kyuuñ kar jabīñ par apnī dāġh-e-minnat-e-qātil
mujhe aatā hai shamshīr-e-sitam zeb-e-gulū karnā
sar-e-mizhgāñ chhalak kar āñsuoñ ne dast-gīrī kī
kahāñ mumkin thā varna sharh-e-harf-e-ārzū karnā
ye 'ālam hai ki bār-e-ḳhātir-e-sayyād hai 'at.har'
dar-o-dīvār-e-zindāñ se bhī merā guftugū karnā
bahut dushwar hai taskin-e-zauq-e-rang-o-bu karna
jo chun sakte ho kanTe to gulon ki aarzu karna
jihad-e-zindagi mein ho jo KHud ko surKH-ru karna
jigar ko KHak karna aur kabhi dil ko lahu karna
kisi ko dekhne ki KHwab mein jab aarzu karna
nazar ko ashk-e-KHun-e-dil se pahle ba-wazu karna
KHirad ka dijiye nam us ko ya diwangi kahiye
gareban chaak karna aur daman ko rafu karna
baghair-e-KHu-e-taslim-o-raza jina kuchh aisa hai
ki shughl-e-baada-noshi jaise be-jam-o-subu karna
lage kyun kar jabin par apni dagh-e-minnat-e-qatil
mujhe aata hai shamshir-e-sitam zeb-e-gulu karna
sar-e-mizhgan chhalak kar aansuon ne dast-giri ki
kahan mumkin tha warna sharh-e-harf-e-arzu karna
ye 'alam hai ki bar-e-KHatir-e-sayyaad hai 'athar'
dar-o-diwar-e-zindan se bhi mera guftugu karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.