bahut dushwar rasta ho gaya hai
bahut dushvār rasta ho gayā hai
safar ab jasta jasta ho gayā hai
anā jhukne nahīñ detī thī jis ko
vahī ab dast-basta ho gayā hai
tumhārā chāhne vaalā huuñ maiñ bhī
mirā dil bhī shikasta ho gayā
kahāñ le aa.ī hai baunoñ kī sohbat
hamārā qad bhī pasta ho gayā hai
kabhī vo sāhib-e-uslūb hogā
jo ab lahje se ḳhasta ho gayā hai
janāb-e-‘shān’ kā ab jhoñpaḌā bhī
shikasta dar shikasta ho gayā hai
bahut dushwar rasta ho gaya hai
safar ab jasta jasta ho gaya hai
ana jhukne nahin deti thi jis ko
wahi ab dast-basta ho gaya hai
tumhaara chahne wala hun main bhi
mera dil bhi shikasta ho gaya
kahan le aai hai baunon ki sohbat
hamara qad bhi pasta ho gaya hai
kabhi wo sahib-e-uslub hoga
jo ab lahje se KHasta ho gaya hai
janab-e-‘shan’ ka ab jhonpaDa bhi
shikasta dar shikasta ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.