bahut ghuTan hai yahan par koi bacha le mujhe
bahut ghuTan hai yahan par koi bacha le mujhe
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
bahut ghuTan hai yahāñ par koī bachā le mujhe
maiñ apnī zaat meñ madfūn huuñ nikāle mujhe
ham aadmī haiñ bahaknā hamārī fitrat hai
bahak rahā huuñ agar maiñ koī sambhāle mujhe
ki harf-e-haq to adā ho gayā hai hoñToñ se
zamāna chāhe to neze pe ab uchhāle mujhe
ḳhudā kare ki mayassar tirā visāl na ho
bahut aziiz haiñ ye hijr ke ujāle mujhe
bahut ghuTan hai yahan par koi bacha le mujhe
main apni zat mein madfun hun nikale mujhe
hum aadmi hain bahakna hamari fitrat hai
bahak raha hun agar main koi sambhaale mujhe
ki harf-e-haq to ada ho gaya hai honTon se
zamana chahe to neze pe ab uchhaale mujhe
KHuda kare ki mayassar tera visal na ho
bahut aziz hain ye hijr ke ujale mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.