bahut gumnam hun ashhar nahin hun
bahut gumnām huuñ ashhar nahīñ huuñ
maiñ ik darvesh huuñ zar-gar nahīñ huuñ
faqat tāzīm ke laa.eq ḳhudā hai
tirī tāzīm kī ḳhūgar nahīñ huuñ
faqat zar se nahīñ hai bartarī kuchh
maiñ tujh se besh huuñ kamtar nahīñ huuñ
hazāroñ ke jhuke sar tere aage
vo buzdil haiñ maiñ aisī par nahīñ huuñ
aziiz az jaan merī ye anā hai
kaTā dūñgī jhukātī sar nahīñ huuñ
mohabbat se qarīb aao jo 'mīnā'
sifat meñ mom huuñ patthar nahīñ huuñ
bahut gumnam hun ashhar nahin hun
main ek darwesh hun zar-gar nahin hun
faqat tazim ke laeq KHuda hai
teri tazim ki KHugar nahin hun
faqat zar se nahin hai bartari kuchh
main tujh se besh hun kamtar nahin hun
hazaron ke jhuke sar tere aage
wo buzdil hain main aisi par nahin hun
aziz az jaan meri ye ana hai
kaTa dungi jhukati sar nahin hun
mohabbat se qarib aao jo 'mina'
sifat mein mom hun patthar nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.