bahut hansa tha bahut udasi se bhar gaya hun
bahut hañsā thā bahut udāsī se bhar gayā huuñ
maiñ yaar khilne ke mausamoñ meñ bikhar gayā huuñ
tumhāre jaane se zāhiran kuchh nahīñ huā hai
maiñ jāntā huuñ magar maiñ andar se mar gayā huuñ
tū apne kāmoñ meñ kitnā masrūf ho gayā hai
maiñ is judā.ī pe sabr aane se Dar gayā huuñ
kisī pe tohmat nahīñ lagā.ī kisī kī ḳhātir
yahī vajah hai bahut diloñ se utar gayā huuñ
mujhe mohabbat kā vāsta de ke mat pukāro
maiñ is ta.alluq kī sarhadoñ se guzar gayā huuñ
bahut hansa tha bahut udasi se bhar gaya hun
main yar khilne ke mausamon mein bikhar gaya hun
tumhaare jaane se zahiran kuchh nahin hua hai
main jaanta hun magar main andar se mar gaya hun
tu apne kaamon mein kitna masruf ho gaya hai
main is judai pe sabr aane se Dar gaya hun
kisi pe tohmat nahin lagai kisi ki KHatir
yahi wajah hai bahut dilon se utar gaya hun
mujhe mohabbat ka wasta de ke mat pukaro
main is talluq ki sarhadon se guzar gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.