bahut hasin thi kabhi ye duniya mere mutabiq
bahut hasīñ thī kabhī ye duniyā mire mutābiq
magar rahā ab na us kā chehra mire mutābiq
maiñ is liye ik daraḳht se baat kar rahī huuñ
rahegā chup yā javāb degā mire mutābiq
tire likhe ko ġhalat nahīñ kah rahī maiñ lekin
savāl ye hai ki kyoñ na likkhā mire mutābiq
yahāñ pe sab mere ḳhānvāde se āshnā haiñ
mirā ta.āruf na ho sakegā mire mutābiq
tire mutābiq maiñ terī rūdād sun chukī huuñ
nahīñ hai kirdār us meñ merā mire mutābiq
nikāl de tū hī merī āñkhoñ kī sūiyāñ ab
na aa.egā koī shāhzāda mire mutābiq
maiñ gungunātī faqat tirā naam us kī lai par
magar ye kam-baḳht dil na dhaḌkā mire mutābiq
bahut hasin thi kabhi ye duniya mere mutabiq
magar raha ab na us ka chehra mere mutabiq
main is liye ek daraKHt se baat kar rahi hun
rahega chup ya jawab dega mere mutabiq
tere likhe ko ghalat nahin kah rahi main lekin
sawal ye hai ki kyon na likkha mere mutabiq
yahan pe sab mere KHanwade se aashna hain
mera taaruf na ho sakega mere mutabiq
tere mutabiq main teri rudad sun chuki hun
nahin hai kirdar us mein mera mere mutabiq
nikal de tu hi meri aankhon ki suiyan ab
na aaega koi shahzada mere mutabiq
main gungunati faqat tera nam us ki lai par
magar ye kam-baKHt dil na dhaDka mere mutabiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.