bahut hi KHas kahna hai hamein ek aam ke bare
bahut hi KHas kahna hai hamein ek aam ke bare
Mohammad Javed Anwar
MORE BYMohammad Javed Anwar
bahut hī ḳhaas kahnā hai hameñ ik aam ke baare
kareñge sub.h bāteñ ek biitī shaam ke baare
fusūñ hai ye nazar kī had hai saarā jhuuT niklā hai
jo tum kahte rahe the charḳh-e-nīlī-fām ke baare
mujhe bhī saath le lenā agar ho us taraf jaanā
mirī bhī raa.e le lenā jafā ke kaam ke baare
hameñ sikhlā sakeñge zindagī ke gur zamāne ko
sabhī āġhāz sīkhe haiñ kisī anjām ke baare
tumheñ bas ham se ulfat hai ye da.avā maan leñ lekin
tumheñ ham kyā batā.eñ apne har hañgām ke baare
garebāñ chaak niklegā na.ī rut meñ yahī pahle
suno muzhda tum apne lāla-e-gulfām ke baare
agar us kā ta.alluq hai faqat mujh se to ai qāsid
vo kyoñ tahqīq kartā hai tumhāre naam ke baare
bahut hi KHas kahna hai hamein ek aam ke bare
karenge subh baaten ek biti sham ke bare
fusun hai ye nazar ki had hai sara jhuT nikla hai
jo tum kahte rahe the charKH-e-nili-fam ke bare
mujhe bhi sath le lena agar ho us taraf jaana
meri bhi rae le lena jafa ke kaam ke bare
hamein sikhla sakenge zindagi ke gur zamane ko
sabhi aaghaz sikhe hain kisi anjam ke bare
tumhein bas hum se ulfat hai ye dawa man len lekin
tumhein hum kya bataen apne har hangam ke bare
gareban chaak niklega nai rut mein yahi pahle
suno muzhda tum apne lala-e-gulfam ke bare
agar us ka talluq hai faqat mujh se to ai qasid
wo kyon tahqiq karta hai tumhaare nam ke bare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.