bahut hi talKH thin baaten jo wo suna ke gaya
bahut hī talḳh thiiñ bāteñ jo vo sunā ke gayā
mire zamīr ko kuchh is tarah jagā ke gayā
vo merī aañkh ki jo band thī khulī to magar
mirī ḳhamosh nigāhoñ se tilmilā ke gayā
jo mehrbān bhī lagtā thā merī hastī par
vo apne hāthoñ se merā mahal jalā ke gayā
tire safīne kā maiñ mo'tabar thā shaḳhs magar
mujhe to biich bhañvar aate hī Dubā ke gayā
vo bāñk-pan vo javānī 'ajīb shoḳh-adā
'hasan' ko āñkhoñ hī āñkhoñ meñ vo pilā ke gayā
bahut hi talKH thin baaten jo wo suna ke gaya
mere zamir ko kuchh is tarah jaga ke gaya
wo meri aankh ki jo band thi khuli to magar
meri KHamosh nigahon se tilmila ke gaya
jo mehrban bhi lagta tha meri hasti par
wo apne hathon se mera mahal jala ke gaya
tere safine ka main mo'tabar tha shaKHs magar
mujhe to bich bhanwar aate hi Duba ke gaya
wo bank-pan wo jawani 'ajib shoKH-ada
'hasan' ko aankhon hi aankhon mein wo pila ke gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.