bahut ho ya zara sa mangne do
bahut ho yā zarā sā māñgne do
mujhe bhī apnā hissa māñgne do
añdheroñ se agar laḌnā hai lāzim
to jugnū bhar ujālā māñgne do
bharam khul jā.egā us ke bharam kā
ḳhushī kā ek lamha māñgne do
ḳhudā kyā hai dikhā dūñgā tumheñ bhī
kisī patthar se chehra māñgne do
zarūrat hai mujhe bhī ham-safar kī
havā se ik bagūlā māñgne do
bahut nādān lagtā hai musāfir
use sahrā se dariyā māñgne do
'asar' mañjdhār meñ chaltā huuñ maiñ bhī
kahīñ se ek tinkā māñgne do
bahut ho ya zara sa mangne do
mujhe bhi apna hissa mangne do
andheron se agar laDna hai lazim
to jugnu bhar ujala mangne do
bharam khul jaega us ke bharam ka
KHushi ka ek lamha mangne do
KHuda kya hai dikha dunga tumhein bhi
kisi patthar se chehra mangne do
zarurat hai mujhe bhi ham-safar ki
hawa se ek bagula mangne do
bahut nadan lagta hai musafir
use sahra se dariya mangne do
'asar' manjdhaar mein chalta hun main bhi
kahin se ek tinka mangne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.