bahut kaThin hai bikharne ka hausla rakhna
bahut kaThin hai bikharne kā hausla rakhnā
sabab tumhīñ ho magar tum se kyā gila rakhnā
na jaane kaun se mausam se sābiqa paḌ jaa.e
hamāre haq meñ duāoñ kā silsila rakhnā
ḳhudā kare ki use apnī baat yaad rahe
gayā hai kah ke mujhe apnā dar khulā rakhnā
mire baġhair rutoñ ko vo kaise kāTegā
isī ḳhayāl meñ bas ḳhud ko mubtalā rakhnā
ye zindagī baḌī mushkil se raam hotī hai
kabhī mile to mohabbat se rābta rakhnā
tirā sulūk ho aisā to kaise mumkin hai
shahad zabāñ pe to lahje meñ shukriya rakhnā
maiñ be-niyāz mujhe kyā ġharaz natīje se
mirā to kaam hai bas apnā mudda.ā rakhnā
jahāñ shikast ho aur vāpsī kī ḳhvāhish bhī
us ek pal ko mire naam se bachā rakhnā
bahut kaThin hai bikharne ka hausla rakhna
sabab tumhin ho magar tum se kya gila rakhna
na jaane kaun se mausam se sabiqa paD jae
hamare haq mein duaon ka silsila rakhna
KHuda kare ki use apni baat yaad rahe
gaya hai kah ke mujhe apna dar khula rakhna
mere baghair ruton ko wo kaise kaTega
isi KHayal mein bas KHud ko mubtala rakhna
ye zindagi baDi mushkil se ram hoti hai
kabhi mile to mohabbat se rabta rakhna
tera suluk ho aisa to kaise mumkin hai
shahad zaban pe to lahje mein shukriya rakhna
main be-niyaz mujhe kya gharaz natije se
mera to kaam hai bas apna muddaa rakhna
jahan shikast ho aur wapsi ki KHwahish bhi
us ek pal ko mere nam se bacha rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.