bahut KHub naqsha mere ghar ka hai
bahut ḳhuub naqsha mire ghar kā hai
koī ḳhvāb phir bhī na.e ghar kā hai
jo tere sivā dil meñ koī nahīñ
to kyuuñ shor is meñ bhare ghar kā hai
fazā hai mo.attar havā hai ḳhunuk
yaqīnan ye rasta tire ghar kā hai
zamāne kī dil ko havā lag ga.ī
vagarna ye laḌkā bhale ghar kā hai
safar zindagī hai to 'fārūq' phir
ḳhayāl aise meñ kis liye ghar kā hai
bahut KHub naqsha mere ghar ka hai
koi KHwab phir bhi nae ghar ka hai
jo tere siwa dil mein koi nahin
to kyun shor is mein bhare ghar ka hai
faza hai moattar hawa hai KHunuk
yaqinan ye rasta tere ghar ka hai
zamane ki dil ko hawa lag gai
wagarna ye laDka bhale ghar ka hai
safar zindagi hai to 'faruq' phir
KHayal aise mein kis liye ghar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.