bahut KHubiyan hain hawas-kar dil mein
bahut ḳhūbiyāñ haiñ havas-kār dil meñ
nayā shor machtā hai har baar dil meñ
badan ko kaso aur bas muskurā do
utar jaao ab āḳhirī baar dil meñ
abhī mere chehre kī rañgat alag thī
abhī ho rahī hai dhuāñ-dār dil meñ
na.e chāñd par ab ke sadqa kareñge
salāmat raheñ sab gul o ḳhaar dil meñ
hameñ rizq kī kuchh zarūrat paḌegī
duā pak rahī hai gunahgār dil meñ
azāneñ huiiñ sub.h raushan huī hai
chalo chal ke so.eñ isī yaar dil meñ
maiñ jaise hī us kī galī ko muḌā huuñ
na dil jeb meñ hai na dildār dil meñ
zamīñ kī chaTā.ī vo patthar kā takiya
ḳharīdār dil meñ na bāzār dil meñ
mahaktā subuk sā uḌā jā rahā huuñ
juTā hī liye saare aġhyār dil meñ
ise kuchh na hone kā kitnā yaqīñ hai
chhupā kar rakho ye kalā-kār dil meñ
'razā' āzmāyā huā hai purānā
chalo yaar ghar ko chalo yaar dil meñ
bahut KHubiyan hain hawas-kar dil mein
naya shor machta hai har bar dil mein
badan ko kaso aur bas muskura do
utar jao ab aaKHiri bar dil mein
abhi mere chehre ki rangat alag thi
abhi ho rahi hai dhuan-dar dil mein
nae chand par ab ke sadqa karenge
salamat rahen sab gul o KHar dil mein
hamein rizq ki kuchh zarurat paDegi
dua pak rahi hai gunahgar dil mein
azanen huin subh raushan hui hai
chalo chal ke soen isi yar dil mein
main jaise hi us ki gali ko muDa hun
na dil jeb mein hai na dildar dil mein
zamin ki chaTai wo patthar ka takiya
KHaridar dil mein na bazar dil mein
mahakta subuk sa uDa ja raha hun
juTa hi liye sare aghyar dil mein
ise kuchh na hone ka kitna yaqin hai
chhupa kar rakho ye kala-kar dil mein
'raza' aazmaya hua hai purana
chalo yar ghar ko chalo yar dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.