bahut kuchh be-irada kar chuka hun
bahut kuchh be-irāda kar chukā huuñ
anā se istifāda kar chukā huuñ
abhī bhī zindagī nā-mehrbāñ hai
bahut lahje ko saada kar chukā huuñ
mujhe to sabr kī aadat nahīñ thī
magar had se ziyāda kar chukā huuñ
na jaa.eñ ġham ke mausam un kī marzī
tabassum ko labāda kar chukā huuñ
zamāne-bhar kī yaaro talḳhiyoñ ko
maiñ ḳhud kā ḳhānvāda kar chukā huuñ
masarrat duur hai ab bhī ki maiñ to
bahut dāman kushāda kar chukā huuñ
hamesha in ko maiñ taaza rakhūñgā
maiñ zaḳhmoñ se ye va.ada kar chukā huuñ
vo bāteñ kar rahe haiñ jis safar kī
maiñ kab kā pā-piyāda kar chukā huuñ
bahut kuchh be-irada kar chuka hun
ana se istifada kar chuka hun
abhi bhi zindagi na-mehrban hai
bahut lahje ko sada kar chuka hun
mujhe to sabr ki aadat nahin thi
magar had se ziyaada kar chuka hun
na jaen gham ke mausam un ki marzi
tabassum ko labaada kar chuka hun
zamane-bhar ki yaro talKHiyon ko
main KHud ka KHanwada kar chuka hun
masarrat dur hai ab bhi ki main to
bahut daman kushada kar chuka hun
hamesha in ko main taza rakhunga
main zaKHmon se ye wada kar chuka hun
wo baaten kar rahe hain jis safar ki
main kab ka pa-piyaada kar chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.