bahut kuchh kho diya humne tumhaare ruTh jaane mein
bahut kuchh kho diyā ham ne tumhāre ruuTh jaane meñ
nahīñ chhoḌī kamī koī tumheñ phir bhī manāne meñ
kabhī fursat mile to pūchhnā kyā haal hai us kā
lagā pal-bhar nahīñ tujh ko jise hañs kar bhulāne meñ
nigāheñ pher liiñ tum ne so lagtā hai yahī mujh ko
bachā kuchh bhī nahīñ hai ḳhūb-sūrat is zamāne meñ
ziyāda kuchh nahīñ bas 'ishq meñ aañsū mile sab ko
zarā tū bhī batā kyā kyā milā hai dil dukhāne meñ
mubārak ho na.ī duniyā tumheñ mahloñ kī shahzādī
mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ mere ḳhazāne meñ
yahāñ nafrat hī nafrat hai jidhar dekho udhar 'mohak'
magar Darnā nahīñ tum pyaar ke dīpak jalāne meñ
bahut kuchh kho diya hum ne tumhaare ruTh jaane mein
nahin chhoDi kami koi tumhein phir bhi manane mein
kabhi fursat mile to puchhna kya haal hai us ka
laga pal-bhar nahin tujh ko jise hans kar bhulane mein
nigahen pher lin tum ne so lagta hai yahi mujh ko
bacha kuchh bhi nahin hai KHub-surat is zamane mein
ziyaada kuchh nahin bas 'ishq mein aansu mile sab ko
zara tu bhi bata kya kya mila hai dil dukhane mein
mubarak ho nai duniya tumhein mahlon ki shahzadi
mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin mere KHazane mein
yahan nafrat hi nafrat hai jidhar dekho udhar 'mohak'
magar Darna nahin tum pyar ke dipak jalane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.