bahut malal tha lahje mein sogwari thi
bahut malāl thā lahje meñ sogvārī thī
zamīn-e-dil pe mohabbat kī hamd jaarī thī
badal gayā thā ma.ānī vo ranjishoñ ke sabhī
balā kā zabt thā us meñ aur inkisārī thī
ḳhudā-e-ālī-o-bartar se maañg rakkhī thī
vo hājateñ ki zamāne se rāzdārī thī
tamām raat pahan kar libās-e-ġham maiñ ne
tamām raat tire hijr meñ guzārī thī
jadīd daur ke apne ka.ī taqāze haiñ
ga.e dinoñ meñ to jazboñ kī pāsdārī thī
bahut malal tha lahje mein sogwari thi
zamin-e-dil pe mohabbat ki hamd jari thi
badal gaya tha maani wo ranjishon ke sabhi
bala ka zabt tha us mein aur inkisari thi
KHuda-e-ali-o-bartar se mang rakkhi thi
wo hajaten ki zamane se raazdari thi
tamam raat pahan kar libas-e-gham main ne
tamam raat tere hijr mein guzari thi
jadid daur ke apne kai taqaze hain
gae dinon mein to jazbon ki pasdari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.