Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut malul baDe shadman gae hue hain

Abdul Ahad Saaz

bahut malul baDe shadman gae hue hain

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    bahut malūl baḌe shādmāñ ga.e hue haiñ

    ham aaj ham-rah-e-gum-gashtagāñ ga.e hue haiñ

    agarche aa.e huoñ ke saath haiñ ham bhī

    magar ga.e huoñ ke darmiyāñ ga.e hue haiñ

    nazar to aate haiñ kamroñ meñ chalte-phirte magar

    ye ghar ke log na jaane kahāñ ga.e hue haiñ

    sahar ko ham se milo go ki shab meñ bhī haiñ yahīñ

    ye koī Thiik nahīñ kab kahāñ ga.e hue haiñ

    kahīñ se lauT ke qisse sunā.eñge tum ko

    kahīñ sunāne ko ham dāstāñ ga.e hue haiñ

    talāshiye phir inhīñ meñ tarāshiye phir inheñ

    yahī vasīle ki jo rā.egāñ ga.e hote haiñ

    abhī ta.ayyun-e-sat.h-e-kalām kyā pūchho

    abhī to ham tah-e-ijz-e-bayāñ ga.e hue haiñ

    bajā ki raaz bāteñ batā.eñge tumheñ 'sāz'

    magar sambhal ke sunñā miyāñ ga.e hue haiñ

    bahut malul baDe shadman gae hue hain

    hum aaj ham-rah-e-gum-gashtagan gae hue hain

    agarche aae huon hi ke sath hain hum bhi

    magar gae huon ke darmiyan gae hue hain

    nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar

    ye ghar ke log na jaane kahan gae hue hain

    sahar ko hum se milo go ki shab mein bhi hain yahin

    ye koi Thik nahin kab kahan gae hue hain

    kahin se lauT ke qisse sunaenge tum ko

    kahin sunane ko hum dastan gae hue hain

    talashiye phir inhin mein tarashiye phir inhen

    yahi wasile ki jo raegan gae hote hain

    abhi tayyun-e-sath-e-kalam kya puchho

    abhi to hum tah-e-ijz-e-bayan gae hue hain

    baja ki raaz ki baaten bataenge tumhein 'saz'

    magar sambhal hi ke sunna miyan gae hue hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    RECITATIONS

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz,

    Abdul Ahad Saaz

    bahut malul baDe shadman gae hue hain Abdul Ahad Saaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now