bahut malul hun ghamgin hun udas hun main
bahut malūl huuñ ġhamgīn huuñ udaas huuñ maiñ
mujhe yaqīn nahīñ hai ki tere paas huuñ maiñ
bhulānā chāhoge lekin bhulā na pāoge
ki ab tumhārī kahānī kā iqtibās huuñ maiñ
zamāna chheḌegā mujh ko to mujh se kyā legā
kisī ġharīb kī TuuTī huī sī aas huuñ maiñ
mujhe kisī ne bhī luTte hue nahīñ dekhā
ki TūTā-TūTā huuñ zaḳhmī huuñ bad-havās huuñ maiñ
na ab uThātā hai koī na muñh lagātā hai
sharāb-ḳhāne kā TuuTā huā gilās huuñ maiñ
maiñ chehre paḌh liyā kartā huuñ dekh kar 'manzar'
maiñ ġham samajhtā huuñ sab kā ki ġham-shanās huuñ maiñ
bahut malul hun ghamgin hun udas hun main
mujhe yaqin nahin hai ki tere pas hun main
bhulana chahoge lekin bhula na paoge
ki ab tumhaari kahani ka iqtibas hun main
zamana chheDega mujh ko to mujh se kya lega
kisi gharib ki TuTi hui si aas hun main
mujhe kisi ne bhi luTte hue nahin dekha
ki TuTa-TuTa hun zaKHmi hun bad-hawas hun main
na ab uThata hai koi na munh lagata hai
sharab-KHane ka TuTa hua gilas hun main
main chehre paDh liya karta hun dekh kar 'manzar'
main gham samajhta hun sab ka ki gham-shanas hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.