bahut mushkil hua rasta hamara
bahut mushkil huā rasta hamārā
jab us ne kho diyā naqsha hamārā
milā jab raushnī se muddatoñ baad
lipaT kar ro paḌā saaya hamārā
bahut mahdūd hai duniyā hamārī
nahīñ nibh pā.egā rishta hamārā
agarche koī bhī aatā nahīñ thā
khulā rahtā thā darvāza hamārā
nahīñ is meñ mohabbat ke sivā kuchh
bahut hai muḳhtasar qissa hamārā
hamārī koī qīmat hī nahīñ hai
nahīñ kar pāoge saudā hamārā
na jaane kaun dastak de gayā hai
na jaane kaun hai apnā hamārā
tumheñ apnā banāyā bol kar jhuuT
kaho kaisā lagā dhoka hamārā
bahut mushkil hua rasta hamara
jab us ne kho diya naqsha hamara
mila jab raushni se muddaton baad
lipaT kar ro paDa saya hamara
bahut mahdud hai duniya hamari
nahin nibh paega rishta hamara
agarche koi bhi aata nahin tha
khula rahta tha darwaza hamara
nahin is mein mohabbat ke siwa kuchh
bahut hai muKHtasar qissa hamara
hamari koi qimat hi nahin hai
nahin kar paoge sauda hamara
na jaane kaun dastak de gaya hai
na jaane kaun hai apna hamara
tumhein apna banaya bol kar jhuT
kaho kaisa laga dhoka hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.