bahut mushkil tha jina hosh aa jata to kya hota
bahut mushkil thā jiinā hosh aa jaatā to kyā hotā
mai-o-sāġhar se maiñ dil ko na bahlātā to kyā hotā
mire chāk-e-garebāñ hī pe hangāme hue kyā kyā
ḳhudā jaane jo chāk-e-dil nazar aatā to kyā hotā
bahut nākām huuñ phir bhī ye duniyā hai ḳhafā mujh se
mire hāthoñ meñ us kā haath aa jaatā to kyā hotā
ḳharāb-e-tishnagī huuñ phir bhī saaqī mujh se barham hai
kahīñ maiñ mai-kade meñ jaam chhalkātā to kyā hotā
mirī shā.istagī-e-ishq bhī hai jurm kyā kahiye
hujūm-e-shauq meñ dīvāna ho jaatā to kyā hotā
kahāñ tak naaz uThātā chārasāzoñ ġhamgusāroñ ke
'payām' is ishq meñ dil ko na sabr aatā to kyā hotā
bahut mushkil tha jina hosh aa jata to kya hota
mai-o-saghar se main dil ko na bahlata to kya hota
mere chaak-e-gareban hi pe hangame hue kya kya
KHuda jaane jo chaak-e-dil nazar aata to kya hota
bahut nakaam hun phir bhi ye duniya hai KHafa mujh se
mere hathon mein us ka hath aa jata to kya hota
KHarab-e-tishnagi hun phir bhi saqi mujh se barham hai
kahin main mai-kade mein jam chhalkata to kya hota
meri shaistagi-e-ishq bhi hai jurm kya kahiye
hujum-e-shauq mein diwana ho jata to kya hota
kahan tak naz uThata chaarasazon ghamgusaron ke
'payam' is ishq mein dil ko na sabr aata to kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.