bahut niDhaal bahut bad-hawas lagti hai
bahut niDhāl bahut bad-havās lagtī hai
ye bhiiḌ shahr kī kitnī udaas lagtī hai
talāsh-e-āb maiñ maqsad na faut ho jaa.e
safar ho saḳht to ruk ruk ke pyaas lagtī hai
vo jis se ham ne hamesha hī dūriyāñ rakkhīñ
ab us kī baat meñ mujh ko miThās lagtī hai
tumhāre gaañv ke pīpal ke is chabūtare se
havā kī aañkh bahut rū-shanās lagtī hai
zamāna ho gayā us se milā nahīñ huuñ maiñ
vo ab bhī mujh ko magar ās-pās lagtī hai
bahut niDhaal bahut bad-hawas lagti hai
ye bhiD shahr ki kitni udas lagti hai
talash-e-ab main maqsad na faut ho jae
safar ho saKHt to ruk ruk ke pyas lagti hai
wo jis se hum ne hamesha hi duriyan rakkhin
ab us ki baat mein mujh ko miThas lagti hai
tumhaare ganw ke pipal ke is chabutare se
hawa ki aankh bahut ru-shanas lagti hai
zamana ho gaya us se mila nahin hun main
wo ab bhi mujh ko magar aas-pas lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.