bahut nichi lagin unchaiyan bhi
bahut nīchī lagīñ ūñchā.iyāñ bhī
samundar se ga.iiñ gahrā.iyāñ bhī
kabhī hangāme bhī achchhe lage haiñ
kabhī achchhī lagīñ tanhā.iyāñ bhī
bharī dopahr meñ chalnā kaThin hai
simaT kar rah ga.iiñ parchhā.iyāñ bhī
kahīñ jashn-e-tarab mātam-kada hai
kahīñ girya-kunāñ tanhā.iyāñ bhī
nikhar kar ik karishma ho ga.ī haiñ
tumhāre husn kī ra.anā.iyāñ bhī
koī sūraj nikaltā kyoñ nahīñ hai
sahar letī nahīñ añgḌā.iyāñ bhī
bahut nichi lagin unchaiyan bhi
samundar se gain gahraiyan bhi
kabhi hangame bhi achchhe lage hain
kabhi achchhi lagin tanhaiyan bhi
bhari dopahr mein chalna kaThin hai
simaT kar rah gain parchhaiyan bhi
kahin jashn-e-tarab matam-kada hai
kahin girya-kunan tanhaiyan bhi
nikhar kar ek karishma ho gai hain
tumhaare husn ki ranaiyan bhi
koi suraj nikalta kyon nahin hai
sahar leti nahin angDaiyan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.