Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut pachhtaoge tum dard-mandon se KHafa ho kar

Baldev Raaj

bahut pachhtaoge tum dard-mandon se KHafa ho kar

Baldev Raaj

MORE BYBaldev Raaj

    bahut pachhtāoge tum dard-mandoñ se ḳhafā ho kar

    ki gul murjhā ke rah jaatā hai ḳhāroñ se judā ho kar

    kahāñ jaanā thā mujh ko aur kahāñ kar kiyā rusvā

    nigāh-e-shauq ne dhokā diyā hai rahnumā ho kar

    sitam kiije jafā kiije magar insāf se kahiye

    ye nārāzī bhalā zebā hai bande se ḳhudā ho kar

    bahāreñ rahī thiiñ jab ḳhizāñ ke saath gulshan se

    guloñ aañkh meñ bhar aa.e aañsū iltijā ho kar

    zamāna gar qayāmat bhī uThātā hai uThāne do

    magar uTh kar na jaao mere pahlū se ḳhafā ho kar

    ḳhayāl-e-dost ḳhizr-e-rāh hai dasht-e-mohabbat meñ

    junūñ hamrāh le jaatā rahā hai rahnumā ho kar

    ḳhudārā rahm kar paimān-e-ulfat bāñdhne vaale

    kahāñ jā.ūñgā maiñ āḳhir tire ġham se rihā ho kar

    na ban jaa.e tumhārī zindagī aasrā koī

    na itrāo kisī zindagī aasrā ho kar

    mujhe tūfān le jaatā jahāñ merā muqaddar thā

    Duboyā hai mirī kashtī ko tum ne nāḳhudā ho kar

    hamārī dekhā-dekhī tum vafāoñ par na aa jaanā

    zamāne se hameñ kyā mil rahā hai bā-vafā ho kar

    bayāñ kyā hāl-e-dil ho jab mohabbat ye aalam hai

    shikāyat bhī mire hoñToñ pe aatī hai duā ho kar

    ajab dastūr hai ai 'raaj duniyā-e-mohabbat

    jafā.eñ sāmne aa.iiñ vafāoñ sazā ho kar

    bahut pachhtaoge tum dard-mandon se KHafa ho kar

    ki gul murjha ke rah jata hai KHaron se juda ho kar

    kahan jaana tha mujh ko aur kahan la kar kiya ruswa

    nigah-e-shauq ne dhoka diya hai rahnuma ho kar

    sitam kije jafa kije magar insaf se kahiye

    ye naraazi bhala zeba hai bande se KHuda ho kar

    bahaaren ja rahi thin jab KHizan ke sath gulshan se

    gulon ki aankh mein bhar aae aansu iltija ho kar

    zamana gar qayamat bhi uThata hai uThane do

    magar uTh kar na jao mere pahlu se KHafa ho kar

    KHayal-e-dost KHizr-e-rah hai dasht-e-mohabbat mein

    junun hamrah le jata raha hai rahnuma ho kar

    KHudara rahm kar paiman-e-ulfat bandhne wale

    kahan jaunga main aaKHir tere gham se riha ho kar

    na ban jae tumhaari zindagi ka aasra koi

    na itrao kisi ki zindagi ka aasra ho kar

    mujhe tufan le jata jahan mera muqaddar tha

    Duboya hai meri kashti ko tum ne naKHuda ho kar

    hamari dekha-dekhi tum wafaon par na aa jaana

    zamane se hamein kya mil raha hai ba-wafa ho kar

    bayan kya haal-e-dil ho jab mohabbat ka ye aalam hai

    shikayat bhi mere honTon pe aati hai dua ho kar

    ajab dastur hai ai 'raj duniya-e-mohabbat ka

    jafaen samne aain wafaon ki saza ho kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now