bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
bahut pahuñche to un ke kākul-o-ruḳhsār tak pahuñche
magar āshiq na ab tak ishq ke me.aar tak pahuñche
dabā.īñ dhaḌkaneñ āñkhoñ ko jhuThlāyā gayā barsoñ
baḌī mushkil se vo inkār se iqrār tak pahuñche
abhī to raushnī uljhī hai tārīkī ke tūfāñ se
na jaane kab talak apne dar-o-dīvār tak pahuñche
chuḌāo gar chhuḌā sakte ho dāmān-e-vafā ham se
magar aisā na ho ye baat bhī aġhyār tak pahuñche
zabāñ kī aarzū meñ Thokareñ khāte hue naġhme
rubāb-o-chañg se talvār kī jhankār tak pahuñche
bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
magar aashiq na ab tak ishq ke mear tak pahunche
dabain dhaDkanen aankhon ko jhuThlaya gaya barson
baDi mushkil se wo inkar se iqrar tak pahunche
abhi to raushni uljhi hai tariki ke tufan se
na jaane kab talak apne dar-o-diwar tak pahunche
chuDao gar chhuDa sakte ho daman-e-wafa hum se
magar aisa na ho ye baat bhi aghyar tak pahunche
zaban ki aarzu mein Thokaren khate hue naghme
rubab-o-chang se talwar ki jhankar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.