bahut purani hai ye pyas aaj-kal ki nahin
bahut purānī hai ye pyaas āj-kal kī nahīñ
gilās bhar ke pilāo zarā zarā sī nahīñ
kisī ko mujh se karānā ho aisā vaisā kaam
to mujh ko terī qasam de kisī ḳhudā kī nahīñ
ye kis tarah se ta.āruf karāyā hai merā
tumhārā dost huuñ bas dost aur kuchh bhī nahīñ
tumhāre saath meñ vo laḌkā kaun thā kal shaam
vo ḳhair jo bhī thā us se merī banegī nahīñ
bichhaḌte vaqt mujhe bad-duā.eñ de ke kahā
tumhāre chehre pe sab jañchtā hai udāsī nahīñ
hameñ pata hai adab kyā hai shā.erī kyā hai
hameñ batāyā gayā thā ġhazal uThegī nahīñ
bahut purani hai ye pyas aaj-kal ki nahin
gilas bhar ke pilao zara zara si nahin
kisi ko mujh se karana ho aisa waisa kaam
to mujh ko teri qasam de kisi KHuda ki nahin
ye kis tarah se taaruf karaya hai mera
tumhaara dost hun bas dost aur kuchh bhi nahin
tumhaare sath mein wo laDka kaun tha kal sham
wo KHair jo bhi tha us se meri banegi nahin
bichhaDte waqt mujhe bad-duaen de ke kaha
tumhaare chehre pe sab janchta hai udasi nahin
hamein pata hai adab kya hai shaeri kya hai
hamein bataya gaya tha ghazal uThegi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.