bahut qarib hai wo husn-e-aftab-numa
bahut qarīb hai vo husn-e-āftāb-numā
visāl-e-yār bhī hone lagā azāb-numā
tamām phūloñ kī ḳhushbū kā imtizāj hai vo
dayār-e-husn meñ ik shaḳhs hai gulāb-numā
har ek lafz kī qismat usī meñ likkhī hai
vo ik hasīn sā chehra jo hai kitāb-numā
ḳhumār-e-bāda se hai muḳhtalif mizāj us kā
chhiTak rahā hai ye āñkhoñ se kyā sharāb-numā
ham us ke chehre se us ko samajh nahīñ sakte
ta.assur-e-ruḳh-e-rangīñ bhī hai naqāb-numā
junūñ-navāz hai zikr-e-ḳhirad hī āḳhir kyoñ
tumhāre lahje meñ kyā chiiz hai sarāb-numā
bahut qarib hai wo husn-e-aftab-numa
visal-e-yar bhi hone laga azab-numa
tamam phulon ki KHushbu ka imtizaj hai wo
dayar-e-husn mein ek shaKHs hai gulab-numa
har ek lafz ki qismat usi mein likkhi hai
wo ek hasin sa chehra jo hai kitab-numa
KHumar-e-baada se hai muKHtalif mizaj us ka
chhiTak raha hai ye aankhon se kya sharab-numa
hum us ke chehre se us ko samajh nahin sakte
tassur-e-ruKH-e-rangin bhi hai naqab-numa
junun-nawaz hai zikr-e-KHirad hi aaKHir kyon
tumhaare lahje mein kya chiz hai sarab-numa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.