bahut qarib tha par mehrban na tha mera
bahut qarīb thā par mehrbāñ na thā merā
bharī bahār meñ ik āshiyāñ na thā merā
labāda ruuh kā chhalnī thā jā-ba-jā lekin
mire qarīb koī mehrbāñ na thā merā
lahū meñ bahtā hai lekin ye ehtiyāt-e-junūñ
ki raaz dil kā nazar se 'ayāñ na thā merā
maiñ ḳhush-gumāñ jise jāgīr samjhe baiThī thī
ki dil pe us ke kahīñ bhī nishāñ na thā merā
vo dasht-e-zāt meñ bargad kā peḌ thā lekin
jhulastī dhuup meñ vo sā.ebāñ na thā merā
ye aur baat mire haal se thā nā-vāqif
maiñ kaise kah duuñ ki vo rāz-dāñ na thā merā
banā thā tark-e-ta'alluq kā jo sabab ai 'sabīn'
qasam ḳhudā kī vo hargiz bayāñ na thā merā
bahut qarib tha par mehrban na tha mera
bhari bahaar mein ek aashiyan na tha mera
labaada ruh ka chhalni tha ja-ba-ja lekin
mere qarib koi mehrban na tha mera
lahu mein bahta hai lekin ye ehtiyat-e-junun
ki raaz dil ka nazar se 'ayan na tha mera
main KHush-guman jise jagir samjhe baiThi thi
ki dil pe us ke kahin bhi nishan na tha mera
wo dasht-e-zat mein bargad ka peD tha lekin
jhulasti dhup mein wo saeban na tha mera
ye aur baat mere haal se tha na-waqif
main kaise kah dun ki wo raaz-dan na tha mera
bana tha tark-e-ta'alluq ka jo sabab ai 'sabin'
qasam KHuda ki wo hargiz bayan na tha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.