bahut raaz hain zindagi se bhi aage
bahut raaz haiñ zindagī se bhī aage
maqām aur nahīñ dostī se bhī aage
mareñ to mileñ zindagī ke ishāre
magar maut phir zindagī se bhī aage
bahut duur tak dab chale raushnī meñ
añdhere mile raushnī se bhī aage
na apnā pata hai na un kī ḳhabar hai
kahāñ aa ga.e be-ḳhudī se bhī aage
na ehsās-e-mālik na ehsās-e-ḳhidmat
maqām aa gayā bandagī se bhī aage
nazar jam ga.ī rū-e-tābāñ pe āḳhir
hai kuchh aur nazzārgī se bhī aage
ibādat ke lākhoñ tarīqe haiñ lekin
huā ne koī zindagī se bhī aage
koī devtā ho koī ho farishta
chalā ne koī aadmī se bhī aage
huā saaf dil to ye āvāz aa.ī
gayā 'shauq' ab rāstī se bhī aage
ġham-e-zindagī meñ sukūñ mil gayā hai
nikal aa.e dil kī lagī se bhī aage
bahut raaz hain zindagi se bhi aage
maqam aur nahin dosti se bhi aage
maren to milen zindagi ke ishaare
magar maut phir zindagi se bhi aage
bahut dur tak dab chale raushni mein
andhere mile raushni se bhi aage
na apna pata hai na un ki KHabar hai
kahan aa gae be-KHudi se bhi aage
na ehsas-e-malik na ehsas-e-KHidmat
maqam aa gaya bandagi se bhi aage
nazar jam gai ru-e-taban pe aaKHir
hai kuchh aur nazzargi se bhi aage
ibaadat ke lakhon tariqe hain lekin
hua ne koi zindagi se bhi aage
koi dewta ho koi ho farishta
chala ne koi aadmi se bhi aage
hua saf dil to ye aawaz aai
gaya 'shauq' ab rasti se bhi aage
gham-e-zindagi mein sukun mil gaya hai
nikal aae dil ki lagi se bhi aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.