bahut roka magar dil ka dhuan aahista aahista
bahut rokā magar dil kā dhuāñ āhista āhista
ufuq par chhā gayā ban kar fuġhāñ āhista āhista
ye kaisī āñdhiyoñ kā jabr hai apne gulistāñ meñ
ujāḌe jā rahī haiñ gulsitāñ āhista āhista
na jaane kaun sī aafat kī chādar tan ga.ī āḳhir
pighaltā jā rahā hai āsmāñ āhista āhista
sukūñ kī niiñd aa.e kaise mujh ko jab safīr-e-shab
churā ke le gayā amn-o-amāñ āhista āhista
kahāñ ab DhūñDte ho ādamiyyat ahd-e-hāzir meñ
vafā kā miT gayā nām-o-nishāñ āhista āhista
bahut roka magar dil ka dhuan aahista aahista
ufuq par chha gaya ban kar fughan aahista aahista
ye kaisi aandhiyon ka jabr hai apne gulistan mein
ujaDe ja rahi hain gulsitan aahista aahista
na jaane kaun si aafat ki chadar tan gai aaKHir
pighalta ja raha hai aasman aahista aahista
sukun ki nind aae kaise mujh ko jab safir-e-shab
chura ke le gaya amn-o-aman aahista aahista
kahan ab DhunDte ho aadamiyyat ahd-e-hazir mein
wafa ka miT gaya nam-o-nishan aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.