bahut sa ho chuka hai aur kuchh nahin hua hai
bahut sā ho chukā hai aur kuchh nahīñ huā hai
hamārā saarā asāsa tah-e-zamīñ huā hai
jo ho chukā hai akārat jo vā huā uqda
jo honā chāhiye thā ab talak nahīñ huā hai
shikast-o-fat.h jazā-o-sazā hisāb-o-kitāb
hamāre saath ye sab kuchh idhar yahīñ huā hai
hamārī ḳhaak uḌā dī ga.ī sar-e-aflāk
hamārā koī havāla bachā nahīñ huā hai
hameñ tumhārī zarūrat hai aur is ke sivā
tumhāre saath koī 'ishq to nahīñ huā hai
bahut sa ho chuka hai aur kuchh nahin hua hai
hamara sara asasa tah-e-zamin hua hai
jo ho chuka hai akarat jo wa hua uqda
jo hona chahiye tha ab talak nahin hua hai
shikast-o-fath jaza-o-saza hisab-o-kitab
hamare sath ye sab kuchh idhar yahin hua hai
hamari KHak uDa di gai sar-e-aflak
hamara koi hawala bacha nahin hua hai
hamein tumhaari zarurat hai aur is ke siwa
tumhaare sath koi 'ishq to nahin hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.