bahut sabr-azma ek ek pal hai
bahut sabr-āzmā ek ek pal hai
batā is mas.ale kā koī hal hai
maiñ farzānoñ kī saf meñ kyoñ khaḌā huuñ
yaqīnan mere sar meñ kuchh ḳhalal hai
huā kyā ai nasīm-e-sub.h-gāhī
jo murjhāyā huā dil kā kañval hai
daroġh-e-maslahat-āmez nādāñ
ye arbāb-e-siyāsat kā amal hai
jo hāsil ho 'shamīm'-e-saḳht-jāñ ko
bahut kaafī sukūñ kā ek pal hai
bahut sabr-azma ek ek pal hai
bata is masale ka koi hal hai
main farzanon ki saf mein kyon khaDa hun
yaqinan mere sar mein kuchh KHalal hai
hua kya ai nasim-e-subh-gahi
jo murjhaya hua dil ka kanwal hai
darogh-e-maslahat-amez nadan
ye arbab-e-siyasat ka amal hai
jo hasil ho 'shamim'-e-saKHt-jaan ko
bahut kafi sukun ka ek pal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.