bahut sataya hai mujhko zara si ja ke liye
bahut satāyā hai mujh ko zarā sī jā ke liye
aur is pe zindagī ne daam bhī dabā ke liye
maiñ jaane ko kahāñ kahtā par in ġhamoñ se kaho
zarā sā rāsta to chhoḌ deñ havā ke liye
taḌap rahā hai ka.ī roz se dil-e-bīmār
do bol chāhiye the aap se davā ke liye
maiñ zindagī tirī kiT kiT se tang aa gayā huuñ
tū apnā muñh to zarā band rakh ḳhudā ke liye
tire javāb ne sākit hī kar diyā hai mujhe
zabān khultī na haath uThte haiñ duā ke liye
bahut sataya hai mujh ko zara si ja ke liye
aur is pe zindagi ne dam bhi daba ke liye
main jaane ko kahan kahta par in ghamon se kaho
zara sa rasta to chhoD den hawa ke liye
taDap raha hai kai roz se dil-e-bimar
do bol chahiye the aap se dawa ke liye
main zindagi teri kiT kiT se tang aa gaya hun
tu apna munh to zara band rakh KHuda ke liye
tere jawab ne sakit hi kar diya hai mujhe
zaban khulti na hath uThte hain dua ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.