bahut se dard the par KHud ko joD kar rakkha
bahut se dard the par ḳhud ko joḌ kar rakkhā
vo maiñ ki ātish o aahan meñ jis ne sar rakkhā
maiñ vo huuñ jis ne ta.āqub meñ apne maut rakhī
aur apne sar ko sadā us kī maar par rakkhā
nashāt o fat.h mirī dastaras meñ the lekin
kitāb-e-umr meñ dukh-dard besh-tar rakkhā
mile hue the mujhe chāhatoñ ke dar kitne
magar maiñ vo ki havāoñ pe mustaqar rakkhā
bahut se log mire vāste the dast-kushā
magar nazar meñ tirā hī dayār-o-dar rakkhā
kabhī huī hī nahīñ mujh ko be-gharī mahsūs
ḳhud apne paañv pe jab se hai apnā ghar rakkhā
gavāh haiñ mire misroñ ke bast-o-dar 'kāshif'
chunā jo harf use kar ke bārvar rakkhā
bahut se dard the par KHud ko joD kar rakkha
wo main ki aatish o aahan mein jis ne sar rakkha
main wo hun jis ne taaqub mein apne maut rakhi
aur apne sar ko sada us ki mar par rakkha
nashat o fath meri dastaras mein the lekin
kitab-e-umr mein dukh-dard besh-tar rakkha
mile hue the mujhe chahaton ke dar kitne
magar main wo ki hawaon pe mustaqar rakkha
bahut se log mere waste the dast-kusha
magar nazar mein tera hi dayar-o-dar rakkha
kabhi hui hi nahin mujh ko be-ghari mahsus
KHud apne panw pe jab se hai apna ghar rakkha
gawah hain mere misron ke bast-o-dar 'kashif'
chuna jo harf use kar ke barwar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.