bahut se humne samjhaute kiye hain
bahut se ham ne samjhaute kiye haiñ
kisī ke saath ab tak yuuñ jiye haiñ
bahut Dartā hai jo rusvā.iyoñ se
mire ash.ār to us ke liye haiñ
hameñ dekhā to aksar chupke chupke
tumhāre charche logoñ meñ hue haiñ
na jaane duur tak kyoñ baat pahuñchī
laboñ ko aaj tak ham to siye haiñ
use aadat hai lekin bhūlne kī
kisī ne chand va.ade to kiye haiñ
jo dam bharte haiñ 'āsif' dostī kā
vahī ab haath meñ ḳhanjar liye haiñ
bahut se hum ne samjhaute kiye hain
kisi ke sath ab tak yun jiye hain
bahut Darta hai jo ruswaiyon se
mere ashaar to us ke liye hain
hamein dekha to aksar chupke chupke
tumhaare charche logon mein hue hain
na jaane dur tak kyon baat pahunchi
labon ko aaj tak hum to siye hain
use aadat hai lekin bhulne ki
kisi ne chand wade to kiye hain
jo dam bharte hain 'asif' dosti ka
wahi ab hath mein KHanjar liye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.