bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha
bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha
Mohammad Izhar ul Haq
MORE BYMohammad Izhar ul Haq
bahut se rāstoñ meñ tū ne jo rasta chunā thā
farishte aaj tak hairat meñ haiñ kaisā chunā thā
bahut se shahr rahne ke liye hāzir the lekin
hamesha zinda rahne ke liye sahrā chunā thā
jo pīchhe aa rahe the un se tū ġhāfil nahīñ thā
ki tū ne rāste kā ek ik kāñTā chunā thā
jahāñ meñ kaun thā dosh-e-nabī jis kā thā murakkab
isī ḳhātir barahna-pā.ī ne tujh sā chunā thā
zamāna jāntā hai kaun thā jo paar utrā
ki tū ne pyaas aur darbār ne dariyā chunā thā
bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha
farishte aaj tak hairat mein hain kaisa chuna tha
bahut se shahr rahne ke liye hazir the lekin
hamesha zinda rahne ke liye sahra chuna tha
jo pichhe aa rahe the un se tu ghafil nahin tha
ki tu ne raste ka ek ek kanTa chuna tha
jahan mein kaun tha dosh-e-nabi jis ka tha murakkab
isi KHatir barahna-pai ne tujh sa chuna tha
zamana jaanta hai kaun tha jo par utra
ki tu ne pyas aur darbar ne dariya chuna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.