bahut sukun se dil mein basa ke le aae
bahut sukūn se dil meñ basā ke le aa.e
ham aaj un ko unhīñ se churā ke le aa.e
vo vaar karte rahe muskurā ke nazroñ kā
ham apnī jaan salāmat bachā ke le aa.e
hameñ ḳhabar thī ki ā.īne kī tarah hai vo dil
thā pattharoñ meñ magar ham uThā ke le aa.e
savāl ye thā ki sābit karo vafādārī
to ham hathelī pe ye sar sajā ke le aa.e
jahāñ har ek taraf kufr kufr phailā thā
ki ham vahāñ se bhī īmāñ bachā ke le aa.e
ab us ke haath meñ hai faisla 'sharar-naqvī'
ġhazal ke sheroñ ko ham dil banā ke le aa.e
bahut sukun se dil mein basa ke le aae
hum aaj un ko unhin se chura ke le aae
wo war karte rahe muskura ke nazron ka
hum apni jaan salamat bacha ke le aae
hamein KHabar thi ki aaine ki tarah hai wo dil
tha pattharon mein magar hum uTha ke le aae
sawal ye tha ki sabit karo wafadari
to hum hatheli pe ye sar saja ke le aae
jahan har ek taraf kufr kufr phaila tha
ki hum wahan se bhi iman bacha ke le aae
ab us ke hath mein hai faisla 'sharar-naqwi'
ghazal ke sheron ko hum dil bana ke le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.